Thursday, 1 November 2012

Ardhagini ko Uphar ...


Ardhagini ko Uphar ...

Na reshmi dor bandhee ho,na moti sitaron sazi ho,
mere tohfe main agaadh prem ki shapath gunthi ho.
Koi do rai nahi ,hoga wahi ,jo chaho tumhi ,
Sathi  ho wohi, Sarthee bhi tumhi,

Kuch der se hi sahi,akal aa hi gyee,
mere ego ko bas tuhi bha gyee,
rukh mila zindgee ban gayee,
raza ho jis me teri wo khushi mil gayee,

Kya doge tum sangnee ban gayee,
naseeb se tumse mili,
pallavit tum sang bel ban chadhi,
pushpit ho mansi ban gayee,
sangharshon ke sathee tumse meri hasti ban gyee.....

Chutki bhar sindur ne aangan baabul ka door kiya,
ek gathbandhan se tumhar jeevan Suhas kiya,
dukha nirasha bhay clantta ke bhav ko nirmul kiya,
anupam anmol sath ne soubhagya bhar jivan sarthak kiya

  ~
प्रदीप यादव  ~
....जीवन यात्रा पर निकले सहयात्री ही जीवनसाथी होते हैं । पति-पत्नी सामाजिक संरचना का सम्मान रखने के लिए समझौते की ज़िन्दगी जीते हैं। आपस का प्यार और दोस्ती जरुरी है, भावना अक्सर साथ लेकर चलने की होनी चाहिए।

~ प्रदीप यादव  ~

No comments:

Post a Comment